KHizan ne sataya na Khaaron ne luTa
ḳhizāñ ne satāyā na ḳhāroñ ne luuTā
guloñ ne diye dukh bahāroñ ne luuTā
falāhī riyāsat kā naqsha dikhā kar
ġharīboñ ko sarmāya-kāroñ ne luuTā
jo islām ke naam par chal rahe the
mazā un siyāsī idāroñ ne luuTā
kaḌe vaqt par kaam aanā thā jin ko
vatan ko unhīñ jāñ-nisāroñ ne lauTā
tujhe qāzi-e-shahr kaise batā.ūñ
mirā ghar mire pahra-dāroñ ne luuTā
ba-zāhir the rahbar pas-e-parda rahzan
qayādat ko ummīd-vāroñ ne luuTā
jo imdād tūfāñ ke māroñ ko aa.ī
use ḳhuub taqsīm-kāroñ ne luuTā
kabhī sochtī huuñ ki qaumī ḳhazāna
vazāhat-talab goshvāroñ ne luuTā
haqīqat to ye hai ki mere vatan ko
vatan dost taḳhrīb-kāroñ ne luuTā
talātum meñ pahle hī jo luT chuke the
ai 'rūmī' unheñ phir kināroñ ne luuTā
KHizan ne sataya na KHaron ne luTa
gulon ne diye dukh bahaaron ne luTa
falahi riyasat ka naqsha dikha kar
gharibon ko sarmaya-karon ne luTa
jo islam ke nam par chal rahe the
maza un siyasi idaron ne luTa
kaDe waqt par kaam aana tha jin ko
watan ko unhin jaan-nisaron ne lauTa
tujhe qazi-e-shahr kaise bataun
mera ghar mere pahra-daron ne luTa
ba-zahir the rahbar pas-e-parda rahzan
qayaadat ko ummid-waron ne luTa
jo imdad tufan ke maron ko aai
use KHub taqsim-karon ne luTa
kabhi sochti hun ki qaumi KHazana
wazahat-talab goshwaron ne luTa
haqiqat to ye hai ki mere watan ko
watan dost taKHrib-karon ne luTa
talatum mein pahle hi jo luT chuke the
ai 'rumi' unhen phir kinaron ne luTa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.