KHizan se peshtar sara chaman barbaad hota hai
KHizan se peshtar sara chaman barbaad hota hai
Tilok Chand Mahroom
MORE BYTilok Chand Mahroom
ḳhizāñ se peshtar saarā chaman barbād hotā hai
ġhazab hotā hai jab ḳhud bāġhbāñ sayyād hotā hai
tujhe is par gumān-e-naġhma-e-sayyād hotā hai
qafas meñ nāla-kash murġh-e-gulistāñ-zād hotā hai
ḳhushī ke baa'd ik tū hī nahīñ hai mubtalā-e-ġham
yūñhī aksar jahāñ meñ ai dil-e-nāshād, hotā hai
ravā rakhtā hai vo bedād pahle apnī fitrat par
jo insāñ dūsre par mā.il-e-bedād hotā hai
jo kartā hai nisār-e-nau-e-insāñ apnī hastī ko
vo insāñ iftiḳhār-e-ālam-e-ījād hotā hai
mire ash'ār kī tausīf hotī hai mire hote
nahīñ mā'lūm mere baa'd kyā irshād hotā hai
na kar 'mahrūm' tū fikr-e-suḳhan ab fikr-e-uqbā kar
navā-parvāz bazm-e-sher meñ āzād hotā hai
KHizan se peshtar sara chaman barbaad hota hai
ghazab hota hai jab KHud baghban sayyaad hota hai
tujhe is par guman-e-naghma-e-sayyaad hota hai
qafas mein nala-kash murgh-e-gulistan-zad hota hai
KHushi ke ba'd ek tu hi nahin hai mubtala-e-gham
yunhi aksar jahan mein ai dil-e-nashad, hota hai
rawa rakhta hai wo bedad pahle apni fitrat par
jo insan dusre par mail-e-bedad hota hai
jo karta hai nisar-e-nau-e-insan apni hasti ko
wo insan iftiKHar-e-alam-e-ijad hota hai
mere ash'ar ki tausif hoti hai mere hote
nahin ma'lum mere ba'd kya irshad hota hai
na kar 'mahrum' tu fikr-e-suKHan ab fikr-e-uqba kar
nawa-parwaz bazm-e-sher mein aazad hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.