KHizan tanha na sair-e-bostan ko ja bigaD aai
ḳhizāñ tanhā na sair-e-bostāñ ko jā bigāḌ aa.ī
sabā bhī chal ke vaañ ai bulbulo phūloñ ko jhaaḌ aa.ī
shab-e-bīmār yā kaalī balā yā raat kaalī hai
qayāmat aa.ī yā chhātī pe ye hijrāñ pahāḌ aa.ī
jo aayā yaar to tū ho chalā ġhash ai divāne dil
isī dam tujh ko marnā thā batā kyā tujh ko dhaaḌ aa.ī
masal hai bar-mahal ai 'azfarī' jo ki gayā koī
hamārī baar ko gul chhaḌ ga.e kāñToñ kī baaḌ aa.ī
KHizan tanha na sair-e-bostan ko ja bigaD aai
saba bhi chal ke wan ai bulbulo phulon ko jhaD aai
shab-e-bimar ya kali bala ya raat kali hai
qayamat aai ya chhati pe ye hijran pahaD aai
jo aaya yar to tu ho chala ghash ai diwane dil
isi dam tujh ko marna tha bata kya tujh ko dhaD aai
masal hai bar-mahal ai 'azfari' jo ki gaya koi
hamari bar ko gul chhaD gae kanTon ki baD aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.