kho diya humne eatibar apna
kho diyā ham ne e.atibār apnā
bas yahīñ tak thā iḳhtiyār apnā
dāġh-e-dil jal uThe jo gul mahke
rañg dikhlā ga.ī bahār apnā
jaane kis kis ke muntazir Thahre
sirf ham ko thā intizār apnā
āñkheñ dil kī safīr hoñ shāyad
aap dekheñ to shāhkār apnā
kho diya hum ne eatibar apna
bas yahin tak tha iKHtiyar apna
dagh-e-dil jal uThe jo gul mahke
rang dikhla gai bahaar apna
jaane kis kis ke muntazir Thahre
sirf hum ko tha intizar apna
aankhen dil ki safir hon shayad
aap dekhen to shahkar apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.