kho diya nur-e-basirat tu ne ma-o-man ke bich
kho diya nur-e-basirat tu ne ma-o-man ke bich
Meer Mohammadi Bedar
MORE BYMeer Mohammadi Bedar
kho diyā nūr-e-basīrat tū ne mā-o-man ke biich
jalva-gar thā varna vo ḳhurshīd tere man ke biich
pāra-e-bekār haiñ vahdat meñ jab tak hai duī
rāh-e-yaktā.ī hai rishta ke ta.iiñ sozan ke biich
saaf kar dil taaki ho ā.īna-e-ruḳhsār-e-yār
māna-e-raushan-dilī hai zañg is aahan ke biich
zāhir o pinhāñ hai har zarra meñ vo ḳhurshīd-rū
āshkār o muḳhtafī hai jaan jaise tan ke biich
duur ho gar shāmma se tere ġhaflat kā zukām
tū usī kī bū ko paave har gul-o-sausan ke biich
kūcha-gardī tā-kujā juuñ kāh-e-bād-e-hirs se
gaaḌ kar pā baiTh misl-e-koh tū maskan ke biich
kyuuñ abas bhaTkā phire hai juuñ zuleḳhā shahr shahr
jalva-e-yūsuf hai ġhāfil tere pairāhan ke biich
kab dimāġh apnā ki kiije jā ke gul-gasht-e-chaman
aur hī gulzār apne dil ke hai gulshan ke biich
mat mujhe taklīf-e-sair-e-bāġh de 'bedār' tū
gul se rañgīñ-tar hai yaañ laḳht-e-jigar dāman ke biich
kho diya nur-e-basirat tu ne ma-o-man ke bich
jalwa-gar tha warna wo KHurshid tere man ke bich
para-e-bekar hain wahdat mein jab tak hai dui
rah-e-yaktai hai rishta ke tain sozan ke bich
saf kar dil taki ho aaina-e-ruKHsar-e-yar
mana-e-raushan-dili hai zang is aahan ke bich
zahir o pinhan hai har zarra mein wo KHurshid-ru
aashkar o muKHtafi hai jaan jaise tan ke bich
dur ho gar shamma se tere ghaflat ka zukaam
tu usi ki bu ko pawe har gul-o-sausan ke bich
kucha-gardi ta-kuja jun kah-e-baad-e-hirs se
gaD kar pa baiTh misl-e-koh tu maskan ke bich
kyun abas bhaTka phire hai jun zuleKHa shahr shahr
jalwa-e-yusuf hai ghafil tere pairahan ke bich
kab dimagh apna ki kije ja ke gul-gasht-e-chaman
aur hi gulzar apne dil ke hai gulshan ke bich
mat mujhe taklif-e-sair-e-bagh de 'bedar' tu
gul se rangin-tar hai yan laKHt-e-jigar daman ke bich
- Deewan-e-Bedar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.