khoe na kis tarah se tera eatibar jhuT
kho.e na kis tarah se tirā e.atibār jhuuT
ik sach agar zabān pe hai to hazār chhūT
kartā hai aadmī ko bahut be-vaqār jhuuT
chhuḌvā de mujh se ai mire parvardigār jhuuT
haq haq na kis tarah se kahūñ un se hāl-e-dil
sach kā to e.atibār nahīñ darkinār jhuuT
chhuptā hai us sanam se kahīñ ishq-e-sāḳhta
iisā se koī ḳhaak batā.e buḳhār jhuuT
maiñ naqsh-e-pā-e-ġhair ko pahchāntā huuñ ḳhuub
khaao na mere sar kī qasam ai nigār jhuuT
dil kī taḌap se raat ko bijlī bhī maat thī
kahtā nahīñ hai yaar tirā be-qarār jhuuT
kyūñkar yaqīñ ho tere dahān-o-kamar kā yaar
sābit kiyā hai maiñ ne tirā laakh baar jhuuT
chhoḌūñgā maiñ rikāb na ho kar ġhubār bhī
is meñ samajh zarā bhī na o shahsavār jhuuT
kyā fā.eda agar ho koī be-chhurī halāl
karte ho kyoñ bahāna-e-said-o-shikār jhuuT
haq haq rahe zabān pe mansūr kī tarah
bole na daar par bhī tirā jāñ-nisār jhuuT
āshiq ko rote dekh ke va.ada vafā kiyā
chhoḌ aatī aaj jā ke vo dariyā ke paar jhuuT
allāh jāntā hai jo bande butoñ ke haiñ
boleñ na mar ke bhī vo miyān-e-mazār jhuuT
sach-much kiyā jo va.ada-e-vasl aaj yaar ne
muñh se nikal gayā mire be-iḳhtiyār jhuuT
sach to ye hai ki ḳhauf-e-junūñ se havā ho ruuh
sun luuñ jo āmad-āmad-e-fasl-e-bahār jhuuT
laanā yaqīñ na 'kaif' ke aqvāl-o-fe.al kā
guftār is kī jhūTī hai sab kārobār jhuuT
khoe na kis tarah se tera eatibar jhuT
ek sach agar zaban pe hai to hazar chhuT
karta hai aadmi ko bahut be-waqar jhuT
chhuDwa de mujh se ai mere parwardigar jhuT
haq haq na kis tarah se kahun un se haal-e-dil
sach ka to eatibar nahin darkinar jhuT
chhupta hai us sanam se kahin ishq-e-saKHta
isa se koi KHak batae buKHar jhuT
main naqsh-e-pa-e-ghair ko pahchanta hun KHub
khao na mere sar ki qasam ai nigar jhuT
dil ki taDap se raat ko bijli bhi mat thi
kahta nahin hai yar tera be-qarar jhuT
kyunkar yaqin ho tere dahan-o-kamar ka yar
sabit kiya hai main ne tera lakh bar jhuT
chhoDunga main rikab na ho kar ghubar bhi
is mein samajh zara bhi na o shahsawar jhuT
kya faeda agar ho koi be-chhuri halal
karte ho kyon bahana-e-said-o-shikar jhuT
haq haq rahe zaban pe mansur ki tarah
bole na dar par bhi tera jaan-nisar jhuT
aashiq ko rote dekh ke wada wafa kiya
chhoD aati aaj ja ke wo dariya ke par jhuT
allah jaanta hai jo bande buton ke hain
bolen na mar ke bhi wo miyan-e-mazar jhuT
sach-much kiya jo wada-e-wasl aaj yar ne
munh se nikal gaya mere be-iKHtiyar jhuT
sach to ye hai ki KHauf-e-junun se hawa ho ruh
sun lun jo aamad-amad-e-fasl-e-bahaar jhuT
lana yaqin na 'kaif' ke aqwal-o-feal ka
guftar is ki jhuTi hai sab karobar jhuT
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.