Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

khol di hai zulf kis ne phul se ruKHsar par

Goya Faqir Mohammad

khol di hai zulf kis ne phul se ruKHsar par

Goya Faqir Mohammad

MORE BYGoya Faqir Mohammad

    khol hai zulf kis ne phuul se ruḳhsār par

    chhā ga.ī kaalī ghaTā aan kar gulzār par

    kyā afshāñ hai jabīn o abru-e-ḳhamdār par

    hai charāġhāñ aaj kaabe ke dar o dīvār par

    naqsh-e-pā pañch-shāḳha qabar par raushan karo

    mar gayā huuñ maiñ tumhārī garmī-e-raftār par

    chashm-e-bad duur aaj hai ye kaun gul-rū jhāñktā

    chashm-e-nargis hai aalam rauzan-e-dīvār par

    nā-tavāñ bhalā kis muñh se maiñ shikva karūñ

    ḳhaal hai yaañ mahr ḳhāmosh lab-e-guftār par

    ham azal se intizār-e-yār meñ so.e nahīñ

    āfrīñ kahiye hamāre dīda-e-bedār par

    kufr apnā ain dīñ-dārī hai gar samjhe koī

    ijtimā-e-sub.ha yaañ mauqūf hai zunnār par

    Thokareñ khā.egā ik din sar-kashī itnī na kar

    o sar-e-be-maġhz kyuuñ bhūlā hai is dastār par

    zulf us apne haq meñ dekhiye kahtī kyā

    hai hamārā faisla ab to zabān-e-mār par

    gar chaman meñ ham se be-bargoñ ko detī nahīñ

    ḳhaar mānind biThlā deñ sar-e-dīvār par

    hai agar irfāñ tālib ḳhāksārī kar shi.ār

    dekhte haiñ aa.ine aksar lagā dīvār par

    abrū-o-mizhgāñ se us ke dekheñ dil kyūñkar bache

    ab to naubat aa ga.ī hai tiir aur talvār par

    intihā-e-ishq meñ jaan maiñ ne is liye

    laala bā-sad daaġh ugtā hai mire kohsār par

    rābta gar ġhair se ho yaar ko chāhūñ maiñ

    maiñ na bulbul huuñ ki martā huuñ gul-e-be-e-ḳhār par

    dil jalā aisā huuñ merā naam le baiThā jo vo

    paḌ ga.e chhāle zabān-e-murġh-e-ātish-e-ḳhvār par

    uTh ke but-ḳhāne se masjid ko agar jā.egā

    saikḌoñ TūTeñgī tasbīheñ tire zunnār par

    haif kū-e-yār tak pahuñchī na merī ustuḳhāñ

    muddatoñ aa kar humā baiThā rahā dīvār par

    suukh jaa.eñ gar hamārī ābloñ chhāgaleñ

    paas se kāñTe nazar aa.eñ zabān-e-ḳhār par

    ba.ad murdan bhī hai baaqī merī nāloñ asar

    tār-e-mutrib hai aalam har kafan taar par

    terī āb-e-teġh se zālim jo ho tūfān bapā

    maut taḌpī misl-e-māhī gumbad-e-davvār par

    ḳhat use itne likhe maiñ ne ki vaañ bhar javāb

    baiThe rahte haiñ kabūtar saikḌoñ dīvār par

    hashr tak mumkin nahīñ ab chamkī teġh-e-āftāb

    baaḌā rakhvātā hai zālim maġhribī talvār par

    kafsh-e-pā gul dikhā kar hañs ke yuuñ kahne lagā

    sair ko kyuuñ jā.ūñ gulshan hai mire bezār par

    dekhiyo zid mere murġh-e-nāma-bar ke vāste

    qaiñchiyāñ lagvā.īñ haiñ be-rahm ne dīvār par

    yaar ko ma.alūm hotā hai hijr meñ soyā nahīñ

    ḳhat likhūñ goyā bayāz-e-dīda-e-bedār par

    khol di hai zulf kis ne phul se ruKHsar par

    chha gai kali ghaTa si aan kar gulzar par

    kya hi afshan hai jabin o abru-e-KHamdar par

    hai charaghan aaj kabe ke dar o diwar par

    naqsh-e-pa panch-shaKHa qabar par raushan karo

    mar gaya hun main tumhaari garmi-e-raftar par

    chashm-e-bad dur aaj hai ye kaun gul-ru jhankta

    chashm-e-nargis ka hai aalam rauzan-e-diwar par

    na-tawan ka bhala kis munh se main shikwa karun

    KHal hai yan mahr KHamosh lab-e-guftar par

    hum azal se intizar-e-yar mein soe nahin

    aafrin kahiye hamare dida-e-bedar par

    kufr apna ain din-dari hai gar samjhe koi

    ijtima-e-subha yan mauquf hai zunnar par

    Thokaren khaega ek din sar-kashi itni na kar

    o sar-e-be-maghz kyun bhula hai is dastar par

    zulf us ki apne haq mein dekhiye kahti hi kya

    hai hamara faisla ab to zaban-e-mar par

    gar chaman mein hum se be-bargon ko ja deti nahin

    KHar ki manind biThla den sar-e-diwar par

    hai agar irfan ka talib KHaksari kar shiar

    dekhte hain aaine aksar laga diwar par

    abru-o-mizhgan se us ke dekhen dil kyunkar bache

    ab to naubat aa gai hai tir aur talwar par

    intiha-e-ishq mein di jaan main ne is liye

    lala ba-sad dagh ugta hai mere kohsar par

    rabta gar ghair se ho yar ko chahun main

    main na bulbul hun ki marta hun gul-e-be-e-KHar par

    dil jala aisa hun mera nam le baiTha jo wo

    paD gae chhaale zaban-e-murgh-e-atish-e-KHwar par

    uTh ke but-KHane se masjid ko agar jaega tu

    saikDon TuTengi tasbihen tere zunnar par

    haif ku-e-yar tak pahunchi na meri ustuKHan

    muddaton aa kar huma baiTha raha diwar par

    sukh jaen gar hamari aablon ki chhagalen

    pas se kanTe nazar aaen zaban-e-KHar par

    baad murdan bhi hai baqi meri nalon ka asar

    tar-e-mutrib ka hai aalam har kafan ki tar par

    teri aab-e-tegh se zalim jo ho tufan bapa

    maut taDpi misl-e-mahi gumbad-e-dawwar par

    KHat use itne likhe main ne ki wan bhar jawab

    baiThe rahte hain kabutar saikDon diwar par

    hashr tak mumkin nahin ab chamki tegh-e-aftab

    baDa rakhwata hai zalim maghribi talwar par

    kafsh-e-pa ki gul dikha kar hans ke yun kahne laga

    sair ko kyun jaun gulshan hai mere bezar par

    dekhiyo zid mere murgh-e-nama-bar ke waste

    qainchiyan lagwain hain be-rahm ne diwar par

    yar ko malum hota hai hijr mein soya nahin

    KHat likhun goya bayaz-e-dida-e-bedar par

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    khol di hai zulf kis ne phul se ruKHsar par Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now