khol kar in siyah baalon ko
khol kar in siyāh bāloñ ko
rok do sub.h ke ujāloñ ko
tere qadmoñ ne sarfarāz kiyā
ek muddat ke pā.emāloñ ko
ik tabassum se umr bhar ke liye
raushnī de ga.e ḳhayāloñ ko
ham rahīn-e-ġham-e-hayāt rahe
maut aa.ī nasīb vāloñ ko
misl-e-najm-e-sahar larazte haiñ
dekhtā jā shikasta-hāloñ ko
'saif' jab vo nigāh yaad aa.ī
aag sī lag ga.ī ḳhayāloñ ko
khol kar in siyah baalon ko
rok do subh ke ujalon ko
tere qadmon ne sarfaraaz kiya
ek muddat ke paemalon ko
ek tabassum se umr bhar ke liye
raushni de gae KHayalon ko
hum rahin-e-gham-e-hayat rahe
maut aai nasib walon ko
misl-e-najm-e-sahar larazte hain
dekhta ja shikasta-haalon ko
'saif' jab wo nigah yaad aai
aag si lag gai KHayalon ko
- Book : Kham-e-Kakul (Pg. 17)
- Author : Saifuddin Saif
- Publication : Al-Hamd Publications, Lahore. Pakistan (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.