khole hue gesu ho pareshan lago ho
khole hue gesū ho pareshān lago ho
is dil kī tarah tum bhī mirī jaan lago ho
dilbar ho dil-ārā ho dil-ārām ho phir bhī
tum āfat-e-jāñ maut kā sāmān lago ho
masjūd-e-tamanna ho ki ma.abūd-e-mohabbat
but-ḳhāna-e-dil kā mire armān lago ho
sajdoñ sā taḌap jaao ho peshānī-e-dil meñ
kāfir jo banā de hai vo īmān lago ho
tasvīr-e-taġhazzul bhī ho chehra bhī kitābī
aao nā paḌheñ tum mirā dīvān lago ho
phir shahr-e-tamannā meñ koī ḳhuun huā hai
ye baat na.ī hai jo pashemān lago ho
is zehn se guzre ho 'sahar' yuuñ to hamesha
tum kaun ho bhūlī huī pahchān lago ho
khole hue gesu ho pareshan lago ho
is dil ki tarah tum bhi meri jaan lago ho
dilbar ho dil-ara ho dil-aram ho phir bhi
tum aafat-e-jaan maut ka saman lago ho
masjud-e-tamanna ho ki mabud-e-mohabbat
but-KHana-e-dil ka mere arman lago ho
sajdon sa taDap jao ho peshani-e-dil mein
kafir jo bana de hai wo iman lago ho
taswir-e-taghazzul bhi ho chehra bhi kitabi
aao na paDhen tum mera diwan lago ho
phir shahr-e-tamanna mein koi KHun hua hai
ye baat nai hai jo pasheman lago ho
is zehn se guzre ho 'sahar' yun to hamesha
tum kaun ho bhuli hui pahchan lago ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.