khoTa sikka ek din chal bhi sakta hai
khoTā sikka ik din chal bhī saktā hai
raavī kā andāz badal bhī saktā hai
do pal kā hai saath magar tanhā.ī meñ
andesha rusvā.ī kā pal bhī saktā hai
māchis kī ik tiilī jaisī āñkhoñ se
hadd-e-nazar kā manzar jal bhī saktā hai
duniyā us kī majbūrī meñ shāmil hai
zer-e-zamīñ vo rah kar phal bhī saktā hai
nekī kā dariyā se gahrā rishta hai
sho.aloñ se vo bach ke nikal bhī saktā hai
us kī chāhat meñ lāzim hai shiddat bhī
vo basharī paikar meñ Dhal bhī saktā hai
khoTa sikka ek din chal bhi sakta hai
rawi ka andaz badal bhi sakta hai
do pal ka hai sath magar tanhai mein
andesha ruswai ka pal bhi sakta hai
machis ki ek tili jaisi aankhon se
hadd-e-nazar ka manzar jal bhi sakta hai
duniya us ki majburi mein shamil hai
zer-e-zamin wo rah kar phal bhi sakta hai
neki ka dariya se gahra rishta hai
shoalon se wo bach ke nikal bhi sakta hai
us ki chahat mein lazim hai shiddat bhi
wo bashari paikar mein Dhal bhi sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.