khoTa sikka koi le mumkin nahin
khoTā sikka koī le mumkin nahīñ
aur baTve meñ rahe mumkin nahīñ
ishq tere ne ujāḌā merā dil
ġhair kī ulfat uge mumkin nahīñ
hone ko hai umr tere kūche meñ
ye qadam aage baḌhe mumkin nahīñ
Duub kar bhī jaarī rahtā hai safar
mehr maġhrib se chaḌhe mumkin nahīñ
apne thaile meñ hī rahne do use
uun kī billī chale mumkin nahīñ
khoTa sikka koi le mumkin nahin
aur baTwe mein rahe mumkin nahin
ishq tere ne ujaDa mera dil
ghair ki ulfat uge mumkin nahin
hone ko hai umr tere kuche mein
ye qadam aage baDhe mumkin nahin
Dub kar bhi jari rahta hai safar
mehr maghrib se chaDhe mumkin nahin
apne thaile mein hi rahne do use
un ki billi chale mumkin nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.