khoya hua hai aadmi husn-o-jamal mein
khoyā huā hai aadmī husn-o-jamāl meñ
kyā kyā latāfateñ haiñ ruḳh-e-be-misāl meñ
us ke ḳhayāl hī meñ guzar jaa.e zindagī
behtar hai ye ḳhayāl bhī mere ḳhayāl meñ
karte haiñ kitne log mohabbat zamīr se
hai zarb lā-javāb kisī ke savāl meñ
billī ne rasta kaaT ke elaan kar diyā
ab tak phañse haiñ log sitāroñ ke jaal meñ
lafzoñ ke her-pher se baazī palaT ga.ī
har shaḳhs aa gayā hai siyāsat kī chaal meñ
'sarvat' guzar rahā hai vahī dekh lījiye
jo kuchh huā thā guzre hue māh-o-sāl meñ
khoya hua hai aadmi husn-o-jamal mein
kya kya latafaten hain ruKH-e-be-misal mein
us ke KHayal hi mein guzar jae zindagi
behtar hai ye KHayal bhi mere KHayal mein
karte hain kitne log mohabbat zamir se
hai zarb la-jawab kisi ke sawal mein
billi ne rasta kaT ke elan kar diya
ab tak phanse hain log sitaron ke jal mein
lafzon ke her-pher se bazi palaT gai
har shaKHs aa gaya hai siyasat ki chaal mein
'sarwat' guzar raha hai wahi dekh lijiye
jo kuchh hua tha guzre hue mah-o-sal mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.