khoya khoya rahta hai
khoyā khoyā rahtā hai
jaane kyā kar baiThā hai
bastī meñ ik phuul khilā
mahloñ mahloñ charchā hai
rafta rafta utregā
chaḌhtī umr kā dariyā hai
uḌtī ghaTā ko kyā ma.alūm
sahrā kitnā pyāsā hai
aaj ke insāñ kī manzil
aurat shohrat paisa hai
biTiyā bhī sasurāl ga.ī
totā bhī chup rahtā hai
chal 'anjum' ghar lauT chaleñ
sahrā meñ kyā rakkhā hai
khoya khoya rahta hai
jaane kya kar baiTha hai
basti mein ek phul khila
mahlon mahlon charcha hai
rafta rafta utrega
chaDhti umr ka dariya hai
uDti ghaTa ko kya malum
sahra kitna pyasa hai
aaj ke insan ki manzil
aurat shohrat paisa hai
biTiya bhi sasural gai
tota bhi chup rahta hai
chal 'anjum' ghar lauT chalen
sahra mein kya rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.