KHud aazma ke bhi dawe ajal ke dekhte hain
ḳhud aazmā ke bhī dā've ajal ke dekhte haiñ
dayār-e-shauq meñ ik baar chal ke dekhte haiñ
pighaltī hai ki nahīñ barf-e-nā-shanāsā.ī
kisī kī garm-nigāhī se jal ke dekhte haiñ
ye dasht-e-hū sar-e-gulshan kahāñ se aa niklā
ye mo'jiza hai to ghar se nikal ke dekhte haiñ
jinheñ milī hī nahīñ chashm-o-dil kī bīnā.ī
tamāshe vo bhī ḳhumār-e-azal ke dekhte haiñ
usī ke zikr se mahfil meñ phuul khilte the
vo aa gayā hai to sab aañkh mal ke dekhte haiñ
kisī ko aaj ke hālāt par qarār nahīñ
hamāre shahr meñ sab ḳhvāb kal ke dekhte haiñ
abhī to lams-e-badan kā hisāb baaqī hai
ta'alluqāt ke pahlū badal ke dekhte haiñ
na koī nāra-e-tahsīñ-numā na dād-e-suḳhan
ki sunñe vaale bhī tevar ġhazal ke dekhte haiñ
na jaane kab sar-e-ā.īna ḳhauf likh jaa.e
ham apnā chehra bhī 'nāmī' sañbhal ke dekhte haiñ
KHud aazma ke bhi da'we ajal ke dekhte hain
dayar-e-shauq mein ek bar chal ke dekhte hain
pighalti hai ki nahin barf-e-na-shanasai
kisi ki garm-nigahi se jal ke dekhte hain
ye dasht-e-hu sar-e-gulshan kahan se aa nikla
ye mo'jiza hai to ghar se nikal ke dekhte hain
jinhen mili hi nahin chashm-o-dil ki binai
tamashe wo bhi KHumar-e-azal ke dekhte hain
usi ke zikr se mahfil mein phul khilte the
wo aa gaya hai to sab aankh mal ke dekhte hain
kisi ko aaj ke haalat par qarar nahin
hamare shahr mein sab KHwab kal ke dekhte hain
abhi to lams-e-badan ka hisab baqi hai
ta'alluqat ke pahlu badal ke dekhte hain
na koi nara-e-tahsin-numa na dad-e-suKHan
ki sunne wale bhi tewar ghazal ke dekhte hain
na jaane kab sar-e-aina KHauf likh jae
hum apna chehra bhi 'nami' sanbhal ke dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.