KHud apne aap se ruTha hua hun
ḳhud apne aap se rūThā huā huuñ
samajhte haiñ vo maiñ un se ḳhafā huuñ
haqā.eq se churā kar aañkh apnī
maiñ kin sāyoñ ke pīchhe bhāgtā huuñ
koī to rāsta hogā batānā
tire dil tak pahuñchnā chāhtā huuñ
ba-zāhir hai hañsī hoñToñ pe mere
magar andar se maiñ TuuTā huā huuñ
jahāñ ḳhud ko muqaffal kar rakhā thā
maiñ us kamre kī chābī kho chukā huuñ
ye kis ne mujh ko bas meñ kar liyā hai
ishāroñ par maiñ kis ke chal rahā huuñ
agarche haal hai tārīk merā
sitāra aane vaale vaqt kā huuñ
tapā huuñ ātish-e-daurāñ meñ 'nāyāb'
to ab jā kar kahīñ kundan banā huuñ
KHud apne aap se ruTha hua hun
samajhte hain wo main un se KHafa hun
haqaeq se chura kar aankh apni
main kin sayon ke pichhe bhagta hun
koi to rasta hoga batana
tere dil tak pahunchna chahta hun
ba-zahir hai hansi honTon pe mere
magar andar se main TuTa hua hun
jahan KHud ko muqaffal kar rakha tha
main us kamre ki chabi kho chuka hun
ye kis ne mujh ko bas mein kar liya hai
ishaaron par main kis ke chal raha hun
agarche haal hai tarik mera
sitara aane wale waqt ka hun
tapa hun aatish-e-dauran mein 'nayab'
to ab ja kar kahin kundan bana hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.