Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHud apne aap se ye gila umr bhar kiya

Mohsin Ehsan

KHud apne aap se ye gila umr bhar kiya

Mohsin Ehsan

MORE BYMohsin Ehsan

    ḳhud apne aap se ye gila umr bhar kiyā

    kaise tire firāq mausam basar kiyā

    minqār se havā ne likhī dāstān-e-hijr

    yuuñ harf-e-mo'tabar ko bhī nā-mo'tabar kiyā

    kaisī havā chalī ki ma.an bārishoñ ke ba.ad

    har be-gulāb rut ne gulistāñ meñ ghar kiyā

    ḳhud ham ne kaaT kaaT zanjīr saañs

    ḳhud ham ne zindagī safar muḳhtasar kiyā

    be-āb ā.inoñ ko bhī ik aab baḳhsh

    har chand be-hunar the ye kār-e-hunar kiyā

    saare sutūn ret buniyād par uThā.e

    ham ne kis ehtiyāt se ta.amīr ghar kiyā

    duniyā simaT ke ek nukte meñ aa ga.ī

    ham ne jab apnī zaat ke andar safar kiyā

    thā miir ko izzat-e-sādāt ḳhayāl

    ham ne suḳhan ko jins-e-dukān-e-hunar kiyā

    mauqa.a-shanās qasr-e-havas meñ pahuñch ga.e

    tai marhala uḌaan be-bāl-o-par kiyā

    ḳhushbū mire badan se ḳhud aa kar lipaT ga.ī

    'mohsin' ye kis dayār se maiñ ne guzar kiyā

    KHud apne aap se ye gila umr bhar kiya

    kaise tere firaq ka mausam basar kiya

    minqar se hawa ne likhi dastan-e-hijr

    yun harf-e-mo'tabar ko bhi na-mo'tabar kiya

    kaisi hawa chali ki man barishon ke baad

    har be-gulab rut ne gulistan mein ghar kiya

    KHud hum ne kaT kaT di zanjir sans ki

    KHud hum ne zindagi ka safar muKHtasar kiya

    be-ab aainon ko bhi ek aab baKHsh di

    har chand be-hunar the ye kar-e-hunar kiya

    sare sutun ret ki buniyaad par uThae

    hum ne kis ehtiyat se tamir ghar kiya

    duniya simaT ke ek hi nukte mein aa gai

    hum ne jab apni zat ke andar safar kiya

    tha mir ji ko izzat-e-sadat ka KHayal

    hum ne suKHan ko jins-e-dukan-e-hunar kiya

    mauqa-shanas qasr-e-hawas mein pahunch gae

    tai marhala uDan ka be-baal-o-par kiya

    KHushbu mere badan se KHud aa kar lipaT gai

    'mohsin' ye kis dayar se main ne guzar kiya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now