KHud apne KHun mein pahle nahaya jata hai
ḳhud apne ḳhuun meñ pahle nahāyā jaatā hai
vaqār ḳhud nahīñ bantā banāyā jaatā hai
kabhī kabhī jo parinde bhī an-sunā kar deñ
to haal dil kā shajar ko sunāyā jaatā hai
hamārī pyaas ko zanjīr bāñdhī jaatī hai
tumhāre vāste dariyā bahāyā jaatā hai
navāztā hai vo jab bhī azīzoñ ko apne
to sab se ba.ad meñ ham ko bulāyā jaatā hai
hamīñ talāsh ke dete haiñ rāsta sab ko
hamīñ ko ba.ad meñ rāsta dikhāyā jaatā hai
KHud apne KHun mein pahle nahaya jata hai
waqar KHud nahin banta banaya jata hai
kabhi kabhi jo parinde bhi an-suna kar den
to haal dil ka shajar ko sunaya jata hai
hamari pyas ko zanjir bandhi jati hai
tumhaare waste dariya bahaya jata hai
nawazta hai wo jab bhi azizon ko apne
to sab se baad mein hum ko bulaya jata hai
hamin talash ke dete hain rasta sab ko
hamin ko baad mein rasta dikhaya jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.