KHud apni KHwahishen KHak-e-badan mein bone ko
ḳhud apnī ḳhvāhisheñ ḳhāk-e-badan meñ bone ko
mirā vajūd tarastā hai mere hone ko
ye dekhnā hai ki baarī mirī kab aa.egī
khaḌā huuñ sāhil-e-dariyā pe lab bhigone ko
abhī se kyā rakheñ āñkhoñ pe saare din kā hisāb
abhī to raat paḌī hai ye bojh Dhone ko
na koī takiya-e-ġham hai na koī chādar-e-ḳhvāb
hameñ ye kaun sā bistar milā hai sone ko
vo duur thā to bahut hasrateñ thiiñ paane kī
vo mil gayā hai to jī chāhtā hai khone ko
KHud apni KHwahishen KHak-e-badan mein bone ko
mera wajud tarasta hai mere hone ko
ye dekhna hai ki bari meri kab aaegi
khaDa hun sahil-e-dariya pe lab bhigone ko
abhi se kya rakhen aankhon pe sare din ka hisab
abhi to raat paDi hai ye bojh Dhone ko
na koi takiya-e-gham hai na koi chadar-e-KHwab
hamein ye kaun sa bistar mila hai sone ko
wo dur tha to bahut hasraten thin pane ki
wo mil gaya hai to ji chahta hai khone ko
- Book : वाहिमा वुजूद का (Pg. 42)
- Author : सालिम सलीम
- Publication : रेख़्ता पब्लिकेशंस (2022)
- Edition : 2nd
- Book : Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 44)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2017)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.