KHud apni zillat-o-KHwari na karna
ḳhud apnī zillat-o-ḳhvārī na karnā
kisī kam-zarf se yaarī na karnā
agar tum shaad rahnā chāhte ho
kisī kī bhī dil-āzārī na karnā
agar taufīq ho sach bolne kī
to apnī bhī taraf-dārī na karnā
tumheñ ham jānte pahchānte haiñ
kabhī ham se adākārī na karnā
kisī ke saath kar lenā ibādat
har ik ke saath mai-ḳhvārī na karnā
na gir jaanā 'ra.īs' apnī nazar se
kabhī tauhīn-e-ḳhuddārī na karnā
KHud apni zillat-o-KHwari na karna
kisi kam-zarf se yari na karna
agar tum shad rahna chahte ho
kisi ki bhi dil-azari na karna
agar taufiq ho sach bolne ki
to apni bhi taraf-dari na karna
tumhein hum jaante pahchante hain
kabhi hum se adakari na karna
kisi ke sath kar lena ibaadat
har ek ke sath mai-KHwari na karna
na gir jaana 'rais' apni nazar se
kabhi tauhin-e-KHuddari na karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.