KHud fasle hi wasl ki tahrik ho gae
ḳhud fāsle hī vasl kī tahrīk ho ga.e
tum duur ho ke aur bhī nazdīk ho ga.e
jab se chhuTā hai haath tirā mere haath se
sab rāste hayāt ke tārīk ho ga.e
jin rāstoñ pe dauḌ ke ham tum chale the saath
tanhā chale to baal se bārīk ho ga.e
un ke baġhair jiinā bhī ik jurm ho gayā
lamhe tamām māñgī huī bhiik ho ga.e
itnā huā hai un kī masīhā.iyoñ kā zikr
bīmār chīḳh uTThe haiñ ki ham Thiik ho ga.e
ham vo nishāna-e-sitam-e-rozgār haiñ
hañsne chale to paikar-e-taz.hīk ho ga.e
'shā.ir' ne jab bhī chheḌā ḳhulūs-o-vafā kā zikr
chehre tamām yāroñ ke tārīk ho ga.e
KHud fasle hi wasl ki tahrik ho gae
tum dur ho ke aur bhi nazdik ho gae
jab se chhuTa hai hath tera mere hath se
sab raste hayat ke tarik ho gae
jin raston pe dauD ke hum tum chale the sath
tanha chale to baal se barik ho gae
un ke baghair jina bhi ek jurm ho gaya
lamhe tamam mangi hui bhik ho gae
itna hua hai un ki masihaiyon ka zikr
bimar chiKH uTThe hain ki hum Thik ho gae
hum wo nishana-e-sitam-e-rozgar hain
hansne chale to paikar-e-tazhik ho gae
'shair' ne jab bhi chheDa KHulus-o-wafa ka zikr
chehre tamam yaron ke tarik ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.