ḳhud-farāmosh-e-qafas ham haiñ chaman yaad nahīñ
ġhair ke ho ga.e aise ki vatan yaad nahīñ
chāñdnī husn kī achchhī hai magar naaz na kar
tujh ko is chāñd kā tārīk gahan yaad nahīñ
us kī mahfil meñ huā thā kabhī apnā bhī guzar
bāteñ kuchh kī thiiñ magar mujh ko dahan yaad nahīñ
shikva-e-hijr kī ḳhvāhish na kar ai dil ki tujhe
sāmnā ho to koī ranj-o-mehan yaad nahīñ
jalva-e-hilla-e-jannat se ye ḳhud-rafta huā
maiñ ne kin hāthoñ se pahnā thā kafan yaad nahīñ
kyuuñ sunāte ho 'abas ahl-e-vafā ko bāteñ
ki unheñ tarz-e-mukāfāt-e-suḳhan yaad nahīñ
tafraqa-sāz-garoñ kī ye had hai ki mujhe
mil ke baiThe the kabhī rūh-o-badan yaad nahīñ
ham to mar mar ke sikhāyā kiye lekin ab tak
'ishq kā husn-e-ḳhud-ārā ko chalan yaad nahīñ
turra-e-gesū-e-jānāñ tirī nik.hat kī qasam
maiñ ne dekhā thā magar mushk-e-ḳhutan yaad nahīñ
kyā batā.ūñ tujhe maiñ qaid-e-mohabbat kyā thī
dast-o-pā ko mire zanjīr-o-rasan yaad nahīñ
tere nazzāre meñ dil mahv thā aisā dam-e-ranj
teġh kā phal mujhe ai seb-e-zaqan yaad nahīñ
daaġh ginte hue guzre haiñ qafas meñ shab-o-roz
kis tarah khulte the gul-hā-e-chaman yaad nahīñ
qadr-dāñ pā ke bahal jaate haiñ āvāra-vatan
jab to nikle hue motī ko adn yaad nahīñ
zab.h hone se mire un ko ta'ajjub hai to ho
apne māthe kī vo ḳhūñ-rez shikan yaad nahīñ
kaun suntā hai ye afsāna-e-ġham ai 'sāqib'
qābil-e-ahl-e-zamāna koī fan yaad nahīñ
KHud-faramosh-e-qafas hum hain chaman yaad nahin
ghair ke ho gae aise ki watan yaad nahin
chandni husn ki achchhi hai magar naz na kar
tujh ko is chand ka tarik gahan yaad nahin
us ki mahfil mein hua tha kabhi apna bhi guzar
baaten kuchh ki thin magar mujh ko dahan yaad nahin
shikwa-e-hijr ki KHwahish na kar ai dil ki tujhe
samna ho to koi ranj-o-mehan yaad nahin
jalwa-e-hilla-e-jannat se ye KHud-rafta hua
main ne kin hathon se pahna tha kafan yaad nahin
kyun sunate ho 'abas ahl-e-wafa ko baaten
ki unhen tarz-e-mukafat-e-suKHan yaad nahin
tafraqa-saz-garon ki ye had hai ki mujhe
mil ke baiThe the kabhi ruh-o-badan yaad nahin
hum to mar mar ke sikhaya kiye lekin ab tak
'ishq ka husn-e-KHud-ara ko chalan yaad nahin
turra-e-gesu-e-jaanan teri nikhat ki qasam
main ne dekha tha magar mushk-e-KHutan yaad nahin
kya bataun tujhe main qaid-e-mohabbat kya thi
dast-o-pa ko mere zanjir-o-rasan yaad nahin
tere nazzare mein dil mahw tha aisa dam-e-ranj
tegh ka phal mujhe ai seb-e-zaqan yaad nahin
dagh ginte hue guzre hain qafas mein shab-o-roz
kis tarah khulte the gul-ha-e-chaman yaad nahin
qadr-dan pa ke bahal jate hain aawara-watan
jab to nikle hue moti ko adn yaad nahin
zabh hone se mere un ko ta'ajjub hai to ho
apne mathe ki wo KHun-rez shikan yaad nahin
kaun sunta hai ye afsana-e-gham ai 'saqib'
qabil-e-ahl-e-zamana koi fan yaad nahin
Source :
Book : Deewan-e-Saqib (Pg. 225)
Author : Mirza Zakir Husain Qazlibaas Saqib Lucknowvi
Publication : Urdu Acadami U.P.
(1998)
Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.