KHud-faramosh jo paya hai mujhe duniya ne
ḳhud-farāmosh jo paayā hai mujhe duniyā ne
mere hāthoñ se bhī luuTā hai mujhe duniyā ne
dil to be-dām bikā zehn kī qīmat na lagī
kaise bāzār meñ bechā hai mujhe duniyā ne
vaqf-e-jazbāt na hone kī sazā dī hai ajab
ātish-e-sard meñ phūñkā hai mujhe duniyā ne
ham-safar mujh ko banāne se gurezāñ hai magar
har na.e moḌ pe DhūñDā hai mujhe duniyā ne
be-asar merī futūhāt rahī haiñ 'aḳhtar'
maiñ jo haarā huuñ to puujā hai mujhe duniyā ne
KHud-faramosh jo paya hai mujhe duniya ne
mere hathon se bhi luTa hai mujhe duniya ne
dil to be-dam bika zehn ki qimat na lagi
kaise bazar mein becha hai mujhe duniya ne
waqf-e-jazbaat na hone ki saza di hai ajab
aatish-e-sard mein phunka hai mujhe duniya ne
ham-safar mujh ko banane se gurezan hai magar
har nae moD pe DhunDa hai mujhe duniya ne
be-asar meri futuhat rahi hain 'aKHtar'
main jo haara hun to puja hai mujhe duniya ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.