KHud-farebi ki kisi had ko nahin manti hai
ḳhud-farebī kī kisī had ko nahīñ māntī hai
qāmat-e-shauq kisī qad ko nahīñ māntī hai
bū-e-gul ho ki havā ho ki mohabbat ki vabā
itnī sarkash hai ki sarhad ko nahīñ māntī hai
vo añdheroñ kā pujārī hai use kyā mālūm
raushnī raat kī aamad ko nahīñ māntī hai
koī sūrat dil-e-āvāra kī ye bechainī
kāḳh-e-yāqūt kī masnad ko nahīñ māntī hai
mustarad karte haiñ kuchh log ḳhudā ko bhī magar
ek duniyā hai jo is radd ko nahīñ māntī hai
ghoñsla shāḳh se girtā hai havā ke hāthoñ
usī chiḌiyā kā jo bargad ko nahīñ māntī hai
ye tirā nām-o-nasab dil ke na kaam aa.egā
ye mohabbat hai kisī had ko nahīñ māntī hai
ek sailāb umañD aayā hai dil meñ 'sīmā'
tishnagī dard ke is had ko nahīñ māntī hai
KHud-farebi ki kisi had ko nahin manti hai
qamat-e-shauq kisi qad ko nahin manti hai
bu-e-gul ho ki hawa ho ki mohabbat ki waba
itni sarkash hai ki sarhad ko nahin manti hai
wo andheron ka pujari hai use kya malum
raushni raat ki aamad ko nahin manti hai
koi surat dil-e-awara ki ye bechaini
kaKH-e-yaqut ki masnad ko nahin manti hai
mustarad karte hain kuchh log KHuda ko bhi magar
ek duniya hai jo is radd ko nahin manti hai
ghonsla shaKH se girta hai hawa ke hathon
usi chiDiya ka jo bargad ko nahin manti hai
ye tera nam-o-nasab dil ke na kaam aaega
ye mohabbat hai kisi had ko nahin manti hai
ek sailab umanD aaya hai dil mein 'sima'
tishnagi dard ke is had ko nahin manti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.