KHud hi diya jalati hun
ḳhud hī diyā jalātī huuñ
apnī shaam sajātī huuñ
maiñ hī apne ḳhvāboñ ko
aksar aag lagātī huuñ
shahr-e-tamannā meñ jā kar
kitne phuul khilātī huuñ
tum bhī mujh se rūThe ho
maiñ bhī kahāñ manātī huuñ
apnī is tanhā.ī ko
yādoñ se bahlātī huuñ
KHud hi diya jalati hun
apni sham sajati hun
main hi apne KHwabon ko
aksar aag lagati hun
shahr-e-tamanna mein ja kar
kitne phul khilati hun
tum bhi mujh se ruThe ho
main bhi kahan manati hun
apni is tanhai ko
yaadon se bahlati hun
- Book : Koi bhi rut ho (Pg. 77)
- Author : Farah iqbal
- Publication : Alhamd Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.