KHud hi taswir hote jate hain
ḳhud hī tasvīr hote jaate haiñ
aks jab ā.inoñ meñ aate haiñ
ḳhvāb utne hī phailte jaa.eñ
jis qadar hāshiye banāte haiñ
chīḳh paḌtī hai sahn kī vus.at
jab bhī dīvār ham uThāte haiñ
ġham bhī dīmak-misāl hote haiñ
sab ko andar se chaaT jaate haiñ
ahd ham se na kījiye koī
ahd ik pal meñ TuuT jaate haiñ
KHud hi taswir hote jate hain
aks jab aainon mein aate hain
KHwab utne hi phailte jaen
jis qadar hashiye banate hain
chiKH paDti hai sahn ki wusat
jab bhi diwar hum uThate hain
gham bhi dimak-misal hote hain
sab ko andar se chaT jate hain
ahd hum se na kijiye koi
ahd ek pal mein TuT jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.