KHud hijabon sa KHud jamal sa tha
ḳhud hijāboñ sā ḳhud jamāl sā thā
dil kā aalam bhī be-misāl sā thā
aks merā bhī ā.inoñ meñ nahīñ
vo bhī kaifiyyat-e-ḳhayāl sā thā
dasht meñ sāmne thā ḳhema-e-gul
dūriyoñ meñ ajab kamāl sā thā
be-sabab to nahīñ thā āñkhoñ meñ
ek mausam ki lā-zavāl sā thā
ḳhauf andheroñ kā Dar ujāloñ se
sāniha thā to hasb-e-hāl sā thā
kyā qayāmat hai hujla-e-jāñ meñ
us ke hote hue malāl sā thā
jis kī jānib 'adā' nazar na uThī
haal us kā bhī mere haal sā thā
KHud hijabon sa KHud jamal sa tha
dil ka aalam bhi be-misal sa tha
aks mera bhi aainon mein nahin
wo bhi kaifiyyat-e-KHayal sa tha
dasht mein samne tha KHema-e-gul
duriyon mein ajab kamal sa tha
be-sabab to nahin tha aankhon mein
ek mausam ki la-zawal sa tha
KHauf andheron ka Dar ujalon se
saniha tha to hasb-e-haal sa tha
kya qayamat hai hujla-e-jaan mein
us ke hote hue malal sa tha
jis ki jaanib 'ada' nazar na uThi
haal us ka bhi mere haal sa tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.