KHud ko aala sifat likh dete
ḳhud ko a.alā sifāt likh dete
kuchh to vo dil kī baat likh dete
dast-e-nāzuk meñ thā qalam un ke
dilkashī-e-hayāt likh dete
dil meñ aa baste aur dil ko mire
hāsil-e-kā.enāt likh dete
kaam lete agar haqīqat se
din ko din shab ko raat likh dete
haath meñ un ke thā varaq saada
ik pasandīda baat likh dete
mujh aziyyat-pasand ke haq meñ
jitnī thiiñ mushkilāt likh dete
shādmānī ko apnā haq likh kar
mere hisse meñ maat likh dete
zau-fishāñ karte merā mustaqbil
kuchh na kuchh iltifāt likh dete
kuchh to maiñ bhī sukūn pā letā
ġham se merī najāt likh dete
aarzī shai hai zindagī ai 'yās'
kaise ham pur-sabāt likh dete
KHud ko aala sifat likh dete
kuchh to wo dil ki baat likh dete
dast-e-nazuk mein tha qalam un ke
dilkashi-e-hayat likh dete
dil mein aa baste aur dil ko mere
hasil-e-kaenat likh dete
kaam lete agar haqiqat se
din ko din shab ko raat likh dete
hath mein un ke tha waraq sada
ek pasandida baat likh dete
mujh aziyyat-pasand ke haq mein
jitni thin mushkilat likh dete
shadmani ko apna haq likh kar
mere hisse mein mat likh dete
zau-fishan karte mera mustaqbil
kuchh na kuchh iltifat likh dete
kuchh to main bhi sukun pa leta
gham se meri najat likh dete
aarzi shai hai zindagi ai 'yas'
kaise hum pur-sabaat likh dete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.