KHud ko be-shak mere aasab pe tari na samajh
ḳhud ko be-shak mire ā'sāb pe taarī na samajh
lekin ai 'ishq mujhe 'ishq se 'aarī na samajh
tujh se māñgā hai zarūrat ke 'alāva tujh ko
tū mujhe dost samajh dost bhikārī na samajh
sag-e-āvāra kī āvāz meñ āvāz milā
raat ko raat samajh vaqt-guzārī na samajh
maiñ guzar jā.ūñgā maqtal se bagūle kī tarah
tū mire raqs ko zālim mirī baarī na samajh
KHud ko be-shak mere aa'sab pe tari na samajh
lekin ai 'ishq mujhe 'ishq se 'ari na samajh
tujh se manga hai zarurat ke 'alawa tujh ko
tu mujhe dost samajh dost bhikari na samajh
sag-e-awara ki aawaz mein aawaz mila
raat ko raat samajh waqt-guzari na samajh
main guzar jaunga maqtal se bagule ki tarah
tu mere raqs ko zalim meri bari na samajh
- Book : Agar Main Sher Na Kahta (Pg. 114)
- Author : Abbas Tabish
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.