KHud ko duniya mein jhonkna hai mujhe
ḳhud ko duniyā meñ jhoñknā hai mujhe
aur phir ḳhud meñ lauTnā hai mujhe
maiñ ne is zid meñ kho diyā sab kuchh
kho gayā thā jo DhūñDhnā hai mujhe
tum ne sochā na mere baare meñ
apne baare meñ sochnā hai mujhe
log bāteñ banāne lagte haiñ
aab āñkhoñ meñ roknā hai mujhe
is se pahle ki pyaas mar jaa.e
ik samundar to sokhnā hai mujhe
KHud ko duniya mein jhonkna hai mujhe
aur phir KHud mein lauTna hai mujhe
main ne is zid mein kho diya sab kuchh
kho gaya tha jo DhunDhna hai mujhe
tum ne socha na mere bare mein
apne bare mein sochna hai mujhe
log baaten banane lagte hain
aab aankhon mein rokna hai mujhe
is se pahle ki pyas mar jae
ek samundar to sokhna hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.