KHud ko duniya mein na uljhao KHuda-ra mohsin
ḳhud ko duniyā meñ na uljhāo ḳhudā-rā mohsin
us ke paiġhām kā samjho to ishārā mohsin
baiTh jaanā kahīñ thak haar ke zebā hai kyā
tū zamāne kā zamāna hai tumhārā mohsin
pichhlī shab us kī mohabbat ne kahā dhīre se
tujh se duurī nahīñ ik pal bhī gavārā mohsin
bā-ḳhudā ulfat-e-server kī karāmat hai ye
jaun kah kar jo zamāne ne pukārā mohsin
us kī ulfat meñ tum hastī ko miTā kar dekho
ek din hogā ḳhudā ḳhud hī tumhārā mohsin
kashtiyāñ paar lagānā hai bhañvar se tum ko
Dūbte logoñ ko denā hai sahārā mohsin
ūñchī uThtī huī lahroñ meñ sadā do us ko
abhī mil jā.egā kashtī ko kinārā mohsin
sub.h us shoḳh ke chehre se uThātī hai naqāb
gesū-e-husn ko rātoñ ne sañvārā mohsin
KHud ko duniya mein na uljhao KHuda-ra mohsin
us ke paigham ka samjho to ishaara mohsin
baiTh jaana kahin thak haar ke zeba hai kya
tu zamane ka zamana hai tumhaara mohsin
pichhli shab us ki mohabbat ne kaha dhire se
tujh se duri nahin ek pal bhi gawara mohsin
ba-KHuda ulfat-e-serwer ki karamat hai ye
jaun kah kar jo zamane ne pukara mohsin
us ki ulfat mein tum hasti ko miTa kar dekho
ek din hoga KHuda KHud hi tumhaara mohsin
kashtiyan par lagana hai bhanwar se tum ko
Dubte logon ko dena hai sahaara mohsin
unchi uThti hui lahron mein sada do us ko
abhi mil jaega kashti ko kinara mohsin
subh us shoKH ke chehre se uThati hai naqab
gesu-e-husn ko raaton ne sanwara mohsin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.