KHud ko is tarah aaj shad karen
ḳhud ko is tarah aaj shaad kareñ
tum ko bhūleñ tumhīñ ko yaad kareñ
tum se milnā nahīñ qayāmat tak
faisla ye bhī aaj saad kareñ
rañg kitne haiñ tere chehre ke
kis havāle se tujh ko yaad kareñ
kar ke ehsān ham pe nāhaq hī
ham se vābasta vo mafād kareñ
aag ghar kī unheñ bhī yaad rahe
shahr meñ jo kabhī fasād kareñ
aaj ḳhud se zarā sī der mileñ
aaj puurī chalo murād kareñ
yaad meñ ek marne vaale kī
aaj mahfil kā in.iqād kareñ
KHud ko is tarah aaj shad karen
tum ko bhulen tumhin ko yaad karen
tum se milna nahin qayamat tak
faisla ye bhi aaj sad karen
rang kitne hain tere chehre ke
kis hawale se tujh ko yaad karen
kar ke ehsan hum pe nahaq hi
hum se wabasta wo mafad karen
aag ghar ki unhen bhi yaad rahe
shahr mein jo kabhi fasad karen
aaj KHud se zara si der milen
aaj puri chalo murad karen
yaad mein ek marne wale ki
aaj mahfil ka iniqad karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.