KHud ko itna jo hawa-dar samajh rakkha hai
ḳhud ko itnā jo havā-dār samajh rakkhā hai
kyā hameñ ret kī dīvār samajh rakkhā hai
ham ne kirdār ko kapḌoñ kī tarah pahnā hai
tum ne kapḌoñ hī ko kirdār samajh rakkhā hai
merī sanjīda tabī.at pe bhī shak hai sab ko
baaz logoñ ne to bīmār samajh rakkhā hai
us ko ḳhud-dārī kā kyā paaTh paḌhāyā jaa.e
bhiik ko jis ne purus-kār samajh rakkhā hai
tū kisī din kahīñ be-maut na maarā jaa.e
tū ne yāroñ ko madad-gār samajh rakkhā hai
KHud ko itna jo hawa-dar samajh rakkha hai
kya hamein ret ki diwar samajh rakkha hai
hum ne kirdar ko kapDon ki tarah pahna hai
tum ne kapDon hi ko kirdar samajh rakkha hai
meri sanjida tabiat pe bhi shak hai sab ko
baz logon ne to bimar samajh rakkha hai
us ko KHud-dari ka kya paTh paDhaya jae
bhik ko jis ne purus-kar samajh rakkha hai
tu kisi din kahin be-maut na mara jae
tu ne yaron ko madad-gar samajh rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.