KHud ko jab lag gai nazar apni
ḳhud ko jab lag ga.ī nazar apnī
zindagī ban ga.ī khañDar apnī
jab bhī sūraj ġhurūb hotā hai
yaad aatī hai dopahar apnī
us kā qissa bhī ab tavīl nahīñ
hai kahānī bhī muḳhtasar apnī
saath hotā hai jab bhī ġham us kā
mujh ko hotī nahīñ ḳhabar apnī
koī mub.ham sā naqsh-e-pā bhī nahīñ
suunī suunī hai rahguzar apnī
huuñ to apnoñ kī bhiiḌ meñ 'tālib'
koī letā nahīñ ḳhabar apnī
KHud ko jab lag gai nazar apni
zindagi ban gai khanDar apni
jab bhi suraj ghurub hota hai
yaad aati hai dopahar apni
us ka qissa bhi ab tawil nahin
hai kahani bhi muKHtasar apni
sath hota hai jab bhi gham us ka
mujh ko hoti nahin KHabar apni
koi mubham sa naqsh-e-pa bhi nahin
suni suni hai rahguzar apni
hun to apnon ki bhiD mein 'talib'
koi leta nahin KHabar apni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.