KHud ko jab se jaan gae hum
ḳhud ko jab se jaan ga.e ham
duniyā ko pahchān ga.e ham
dushman ko jab paas se dekhā
dost ko bhī pahchān ga.e ham
man meñ kaisī aag lagī ye
tan kī chādar taan ga.e ham
us ke dayār-e-shauq se aksar
ḳhud hī tahī-dāmān ga.e ham
KHud ko jab se jaan gae hum
duniya ko pahchan gae hum
dushman ko jab pas se dekha
dost ko bhi pahchan gae hum
man mein kaisi aag lagi ye
tan ki chadar tan gae hum
us ke dayar-e-shauq se aksar
KHud hi tahi-daman gae hum
- Book : Simati Dhoop (Pg. 63)
- Author : Rifat Shamim's
- Publication : Qalam Publications (2001)
- Edition : 2001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.