KHud ko kis tarh tum sanbhaaloge
ḳhud ko kis tarh tum sañbhāloge
jab talak un ke ḳhvāb pāloge
jaisā tum ne kiyā vo kar duuñ to
sar pe duniyā ko tum uThā loge
jān-e-dil rūh-e-zindagī bolo
pyaar se dekhne kā kyā loge
tum ne bhī Dūbne diyā mujh ko
mujh ko lagtā thā tum bachā loge
apne raste ko jānñe ke baa'd
ek din tum bhī rāsta loge
tum ko koī bhī kuchh na bolegā
tum jise chāho aazmā loge
tum sañbhālo to hogā kuchh apnā
kuchh bhī hogā to tum sañbhāloge
haath hoñge tumhāre bhī gande
ham pe kīchaḌ agar uchhāloge
bhej kar ham ko korā kāġhaz tum
aur mushkil meñ kitnī Dāloge
KHud ko kis tarh tum sanbhaaloge
jab talak un ke KHwab paloge
jaisa tum ne kiya wo kar dun to
sar pe duniya ko tum uTha loge
jaan-e-dil ruh-e-zindagi bolo
pyar se dekhne ka kya loge
tum ne bhi Dubne diya mujh ko
mujh ko lagta tha tum bacha loge
apne raste ko jaanne ke ba'd
ek din tum bhi rasta loge
tum ko koi bhi kuchh na bolega
tum jise chaho aazma loge
tum sanbhaalo to hoga kuchh apna
kuchh bhi hoga to tum sanbhaaloge
hath honge tumhaare bhi gande
hum pe kichaD agar uchhaaloge
bhej kar hum ko kora kaghaz tum
aur mushkil mein kitni Daloge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.