KHud ko pahchana to duniya ajnabi lagne lagi
ḳhud ko pahchānā to duniyā ajnabī lagne lagī
har ta.alluq meñ ta.alluq kī kamī lagne lagī
kyā zarūrī thā ki tum milte raho asnā-e-rāh
ik muamma sī tumhārī be-ruḳhī lagne lagī
merā mustaqbil na batlā dekh koī sun na le
kitnī larza-ḳhez terī āgahī lagne lagī
kho ga.e apne meñ ḳhud ko DhūñDne vaale tamām
ab to irfān-e-anā bhī gumrahī lage lagī
ḳhushk ik muddat se thā jo mere āñgan kā daraḳht
ab ke tum aa.e to pattī phir harī lagne lagī
KHud ko pahchana to duniya ajnabi lagne lagi
har talluq mein talluq ki kami lagne lagi
kya zaruri tha ki tum milte raho asna-e-rah
ek muamma si tumhaari be-ruKHi lagne lagi
mera mustaqbil na batla dekh koi sun na le
kitni larza-KHez teri aagahi lagne lagi
kho gae apne mein KHud ko DhunDne wale tamam
ab to irfan-e-ana bhi gumrahi lage lagi
KHushk ek muddat se tha jo mere aangan ka daraKHt
ab ke tum aae to patti phir hari lagne lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.