KHud ko shayan-e-tawajjoh dil-e-nadan samjha
ḳhud ko shāyān-e-tavajjoh dil-e-nādāñ samjhā
kis qadar is nigah-e-lutf ko arzāñ samjhā
rā.egāñ koshish-e-iḳhfā-e-ġham-e-dil na ga.ī
mujh ko duniyā ne harīf-e-ġham-e-daurāñ samjhā
un se kyā shikva-e-mahrūmī-e-qismat ai dil
maiñ ise bā'is-e-kotāhī-e-dāmāñ samjhā
us se pūchhe koī dikhtī huī rāhat ke maze
jo tire dard ko taskīn-e-dil-o-jāñ samjhā
un kā ye haal ki dete rahe duurī ke fareb
merā ye shauq ki nazdīk-e-rag-e-jāñ samjhā
kyā qayāmat hai ki sarmāya-e-ġham ke bā-vasf
mujh ko duniyā ne 'hazīñ' be-sar-o-sāmāñ samjhā
haa.e nā-qadrī-e-jazbāt-e-mohabbat ki 'hazīñ'
sunñe vāloñ ne mujhe sirf ġhazal-ḳhvāñ samjhā
KHud ko shayan-e-tawajjoh dil-e-nadan samjha
kis qadar is nigah-e-lutf ko arzan samjha
raegan koshish-e-iKHfa-e-gham-e-dil na gai
mujh ko duniya ne harif-e-gham-e-dauran samjha
un se kya shikwa-e-mahrumi-e-qismat ai dil
main ise ba'is-e-kotahi-e-daman samjha
us se puchhe koi dikhti hui rahat ke maze
jo tere dard ko taskin-e-dil-o-jaan samjha
un ka ye haal ki dete rahe duri ke fareb
mera ye shauq ki nazdik-e-rag-e-jaan samjha
kya qayamat hai ki sarmaya-e-gham ke ba-wasf
mujh ko duniya ne 'hazin' be-sar-o-saman samjha
hae na-qadri-e-jazbaat-e-mohabbat ki 'hazin'
sunne walon ne mujhe sirf ghazal-KHwan samjha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.