KHud ko tere mear se ghaT kar nahin dekha
ḳhud ko tire me.aar se ghaT kar nahīñ dekhā
jo chhoḌ gayā us ko palaT kar nahīñ dekhā
merī tarah tū ne shab-e-hijrāñ nahīñ kaaTī
merī tarah is teġh pe kaT kar nahīñ dekhā
tū dashna-e-nafrat hī ko lahrātā rahā hai
tū ne kabhī dushman se lipaT kar nahīñ dekhā
the kūcha-e-jānāñ se pare bhī ka.ī manzar
dil ne kabhī is raah se haT kar nahīñ dekhā
ab yaad nahīñ mujh ko 'farāz' apnā bhī paikar
jis roz se bikhrā huuñ simaT kar nahīñ dekhā
KHud ko tere mear se ghaT kar nahin dekha
jo chhoD gaya us ko palaT kar nahin dekha
meri tarah tu ne shab-e-hijran nahin kaTi
meri tarah is tegh pe kaT kar nahin dekha
tu dashna-e-nafrat hi ko lahraata raha hai
tu ne kabhi dushman se lipaT kar nahin dekha
the kucha-e-jaanan se pare bhi kai manzar
dil ne kabhi is rah se haT kar nahin dekha
ab yaad nahin mujh ko 'faraaz' apna bhi paikar
jis roz se bikhra hun simaT kar nahin dekha
- Book : kulliyat-e-ahmad Faraz (Pg. 552)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.