KHud lafz pas-e-lafz kabhi dekh sake bhi
ḳhud lafz pas-e-lafz kabhī dekh sake bhī
kāġhaz kī ye dīvār kisī tarah gire bhī
kis dard se raushan hai siyah-ḳhāna-e-hastī
sūraj nazar aatā hai hameñ raat ga.e bhī
vo ham ki ġhurūr-e-saf-e-ādā-shiknī the
āḳhir sar-e-bāzār hue ḳhvār bike bhī
bahtī haiñ rag o pai meñ do-ābe kī havā.eñ
ik aur samundar hai samundar se pare bhī
aḳhlāq o sharāfat kā añdherā hai vo ghar meñ
jalte nahīñ ma.asūm gunāhoñ ke diye bhī
KHud lafz pas-e-lafz kabhi dekh sake bhi
kaghaz ki ye diwar kisi tarah gire bhi
kis dard se raushan hai siyah-KHana-e-hasti
suraj nazar aata hai hamein raat gae bhi
wo hum ki ghurur-e-saf-e-ada-shikni the
aaKHir sar-e-bazar hue KHwar bike bhi
bahti hain rag o pai mein do-abe ki hawaen
ek aur samundar hai samundar se pare bhi
aKHlaq o sharafat ka andhera hai wo ghar mein
jalte nahin masum gunahon ke diye bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.