KHud mein utrungi to main bhi lapata ho jaungi
KHud mein utrungi to main bhi lapata ho jaungi
Aziz Bano Darab Wafa
MORE BYAziz Bano Darab Wafa
ḳhud meñ utrūñgī to maiñ bhī lāpata ho jā.ūñgī
raushnī ke ġhaar meñ jā kar diyā ho jā.ūñgī
kaun pahchānegā mujh ko merī sūrat dekh kar
jab maiñ apnī zindagī kā ā.īna ho jā.ūñgī
dhuup merī saarī rañgīnī uḌā le jā.egī
shaam tak maiñ dāstāñ se vāqi.a ho jā.ūñgī
mar ke ḳhud meñ dafn ho jā.ūñgī maiñ bhī ek din
sab mujhe DhūñDeñge jab maiñ rāsta ho jā.ūñgī
KHud mein utrungi to main bhi lapata ho jaungi
raushni ke ghaar mein ja kar diya ho jaungi
kaun pahchanega mujh ko meri surat dekh kar
jab main apni zindagi ka aaina ho jaungi
dhup meri sari rangini uDa le jaegi
sham tak main dastan se waqia ho jaungi
mar ke KHud mein dafn ho jaungi main bhi ek din
sab mujhe DhunDenge jab main rasta ho jaungi
- Book : Goonj (Pg. 123)
- Author : Aziz Bano Darab Wafa
- Publication : Educational Book House, Aligarah (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.