Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHud-pasandana taqazon par agar jaegi

Mukhtar Hashmi

KHud-pasandana taqazon par agar jaegi

Mukhtar Hashmi

MORE BYMukhtar Hashmi

    ḳhud-pasandāna taqāzoñ par agar jā.egī

    ziist apnī nigāhoñ se utar jā.egī

    ham ne maanā yahīñ khīñch aa.egī manzil lekin

    ai junūñ izzat-e-arbāb-e-safar jā.egī

    aap taklīf-e-tavajjoh na kareñ bahr-e-ḳhudā

    zindagī jaise bhī guzregī guzar jā.egī

    log kyā samjheñge pahnā.ī-e-dāmān-e-junūñ

    jab bhī jā.egī garebāñ pe nazar jā.egī

    ham to bad-nām-e-vafā hoñge to hoñge lekin

    aabrū terī bhī ai dīda-e-tar jā.egī

    KHud-pasandana taqazon par agar jaegi

    zist apni hi nigahon se utar jaegi

    hum ne mana yahin khinch aaegi manzil lekin

    ai junun izzat-e-arbab-e-safar jaegi

    aap taklif-e-tawajjoh na karen bahr-e-KHuda

    zindagi jaise bhi guzregi guzar jaegi

    log kya samjhenge pahnai-e-daman-e-junun

    jab bhi jaegi gareban pe nazar jaegi

    hum to bad-nam-e-wafa honge to honge lekin

    aabru teri bhi ai dida-e-tar jaegi

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now