KHud pe ilzam kyun dharo baba
ḳhud pe ilzām kyuuñ dharo baabā
zindagī maut hai maro baabā
ret ḳhvāboñ kī ho ki dard ke phuul
apnī jholī meñ kuchh bharo baabā
ḳhauf kī dhund gher legī tumheñ
kyā zarūrī hai tum Daro baabā
jañg jab un se lāzmī Thahre
un se phir jañg hī karo baabā
KHud pe ilzam kyun dharo baba
zindagi maut hai maro baba
ret KHwabon ki ho ki dard ke phul
apni jholi mein kuchh bharo baba
KHauf ki dhund gher legi tumhein
kya zaruri hai tum Daro baba
jang jab un se lazmi Thahre
un se phir jang hi karo baba
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.