KHud pe jab dasht ki wahshat ko musallat karunga
ḳhud pe jab dasht kī vahshat ko musallat karūñgā
is qadar ḳhaak uḌā.ūñgā qayāmat karūñgā
hijr kī raat mirī jaan ko aa.ī huī hai
bach gayā to maiñ mohabbat kī mazammat karūñgā
jis ke saa.e meñ tujhe pahle pahal dekhā thā
maiñ isī peḌ ke nīche tirī bai'at karūñgā
ab tire raaz sambhāle nahīñ jaate mujh se
maiñ kisī roz amānat meñ ḳhayānat karūñgā
terī yādoñ ne agar haath baTāyā merā
apne TuuTe hue ḳhvāboñ kī marammat karūñgā
lailatul-qadr guzārūñgā kisī jañgal meñ
nuur barsegā daraḳhtoñ kī imāmat karūñgā
KHud pe jab dasht ki wahshat ko musallat karunga
is qadar KHak uDaunga qayamat karunga
hijr ki raat meri jaan ko aai hui hai
bach gaya to main mohabbat ki mazammat karunga
jis ke sae mein tujhe pahle pahal dekha tha
main isi peD ke niche teri bai'at karunga
ab tere raaz sambhaale nahin jate mujh se
main kisi roz amanat mein KHayanat karunga
teri yaadon ne agar hath baTaya mera
apne TuTe hue KHwabon ki marammat karunga
lailatul-qadr guzarunga kisi jangal mein
nur barsega daraKHton ki imamat karunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.