KHud se anjaan ho gaya hun main
ḳhud se anjān ho gayā huuñ maiñ
kitnā nādān ho gayā huuñ maiñ
hijr yādeñ firāq daulat-e-ġham
ḳhuub dhanvān ho gayā huuñ maiñ
log mujh se hī tujh ko jānte haiñ
terī pahchān ho gayā huuñ maiñ
maiñ añdhere meñ chār-sū raushan
ik sham.a-dān ho gayā huuñ maiñ
KHud se anjaan ho gaya hun main
kitna nadan ho gaya hun main
hijr yaaden firaq daulat-e-gham
KHub dhanwan ho gaya hun main
log mujh se hi tujh ko jaante hain
teri pahchan ho gaya hun main
main andhere mein chaar-su raushan
ek shama-dan ho gaya hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.