KHud se apna hath chhuDa kar chalna mushkil ho jata hai
KHud se apna hath chhuDa kar chalna mushkil ho jata hai
Sandeep Thakur
MORE BYSandeep Thakur
ḳhud se apnā haath chhuḌā kar chalnā mushkil ho jaatā hai
ret lahar ko pī jaatī hai dariyā sāhil ho jaatā hai
ba.ad tumhāre ye hī mausam kitnā bojhal ho jaatā hai
saath tumhāre ye hī mausam kitnā ḳhush-dil ho jaatā hai
aañkh barābar saath ghaTā ke ḳhuub barastī hai mil-jul ke
bāhar būñdeñ andar aañsū sab kuchh jhilmil ho jaatā hai
jis ko paane kī ḳhātir pāgal the pā kar dekh rahe ho
kitnā ḳhālī-pan lagtā hai jab vo hāsil ho jaatā hai
ek mohabbat kā afsāna is meñ haiñ kitne afsāne
ek nayā kirdār kahāñ se har din shāmil ho jaatā hai
vaqt kisī ke saath guzarne lagtā hai anjān safar meñ
raahī sāthī ban jaate haiñ rasta manzil ho jaatā hai
pair muḌe us kā to girtā huuñ maiñ ye kaisā rishta hai
choT kisī ko lag jaatī hai koī choTil ho jaatā hai
sūkhe peḌoñ ko āñdhī kā koī ḳhauf nahīñ hotā hai
peḌ ladā ho pattoñ se to thoḌā buzdil ho jaatā hai
kaun chalātā hai phir us meñ yāroñ ye kāġhaz kī kashtī
bārish kā paanī jab ghar ke andar dāḳhil ho jaatā hai
KHud se apna hath chhuDa kar chalna mushkil ho jata hai
ret lahar ko pi jati hai dariya sahil ho jata hai
baad tumhaare ye hi mausam kitna bojhal ho jata hai
sath tumhaare ye hi mausam kitna KHush-dil ho jata hai
aankh barabar sath ghaTa ke KHub barasti hai mil-jul ke
bahar bunden andar aansu sab kuchh jhilmil ho jata hai
jis ko pane ki KHatir pagal the pa kar dekh rahe ho
kitna KHali-pan lagta hai jab wo hasil ho jata hai
ek mohabbat ka afsana is mein hain kitne afsane
ek naya kirdar kahan se har din shamil ho jata hai
waqt kisi ke sath guzarne lagta hai anjaan safar mein
rahi sathi ban jate hain rasta manzil ho jata hai
pair muDe us ka to girta hun main ye kaisa rishta hai
choT kisi ko lag jati hai koi choTil ho jata hai
sukhe peDon ko aandhi ka koi KHauf nahin hota hai
peD lada ho patton se to thoDa buzdil ho jata hai
kaun chalata hai phir us mein yaron ye kaghaz ki kashti
barish ka pani jab ghar ke andar daKHil ho jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.