KHud se bezar zamane se KHafa lagta hai
ḳhud se bezār zamāne se ḳhafā lagtā hai
vahshat-e-jāñ kā asar dil pe sivā lagtā hai
dasht-e-ummīd kī jhulsī huī ḳhāmoshī meñ
bas tirā naam mujhe harf-e-duā lagtā hai
sabz pattoñ pe chamaktī huī shabnam ne kahā
raat Dhal jaa.e to har rang nayā lagtā hai
ham bharī bazm meñ chup haiñ ki hameñ tere sivā
ab koī aur pukāre to burā lagtā hai
vo to ham the jo tujhe bhiiḌ meñ pahchān ga.e
ye tirā vahm hai tū sab se judā lagtā hai
zard miTTī ke sivā kyā hai badan kā jaadū
kyoñ mirā aks mujhe is ke sivā lagtā hai
zindagī ham tire mamnūn haiñ behad lekin
tū jo ehsān jatā.e to burā lagtā hai
chand sikkoñ ke evaz sar ko jo bech aa.e the
ab pareshāñ haiñ ki har shaḳhs ḳhudā lagtā hai
KHud se bezar zamane se KHafa lagta hai
wahshat-e-jaan ka asar dil pe siwa lagta hai
dasht-e-ummid ki jhulsi hui KHamoshi mein
bas tera nam mujhe harf-e-dua lagta hai
sabz patton pe chamakti hui shabnam ne kaha
raat Dhal jae to har rang naya lagta hai
hum bhari bazm mein chup hain ki hamein tere siwa
ab koi aur pukare to bura lagta hai
wo to hum the jo tujhe bhiD mein pahchan gae
ye tera wahm hai tu sab se juda lagta hai
zard miTTi ke siwa kya hai badan ka jadu
kyon mera aks mujhe is ke siwa lagta hai
zindagi hum tere mamnun hain behad lekin
tu jo ehsan jatae to bura lagta hai
chand sikkon ke ewaz sar ko jo bech aae the
ab pareshan hain ki har shaKHs KHuda lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.