KHud se hua juda to mila martaba tujhe
ḳhud se huā judā to milā martaba tujhe
āzād ho ke mujh se magar kyā milā tujhe
ik lahza apnī aañkh meñ tū jhāñk le agar
aa.uuñ nazar meñ bikhrā huā jā-ba-jā tujhe
thā mujh ko terā pheñkā huā phuul hī bahut
lafzoñ kā ehtimām bhī karnā paḌā tujhe
ye aur baat maiñ ne sadā.eñ hazār diiñ
aa.ī na dasht-e-haul se ik bhī sadā tujhe
tū ne bhī ḳhud ko markaz-e-ālam samajh liyā
lag hī ga.ī zamāne kī āḳhir havā tujhe
kyā qahr hai ki rañgoñ ke is izhdihām meñ
juz rañg-e-zard aur na kuchh bhī milā tujhe
nazroñ ne taar taar kiyā āsmāñ tamām
aa.ī na raas tāroñ bharī ye ridā tujhe
daa.im rahe safar meñ tirā nāqa-e-ḳhayāl
detā rahūñ maiñ roz yahī bad-duā tujhe
kahne ko chand gaam thā ye arsa-e-hayāt
lekin tamām umr hī chalnā paḌā tujhe
KHud se hua juda to mila martaba tujhe
aazad ho ke mujh se magar kya mila tujhe
ek lahza apni aankh mein tu jhank le agar
aaun nazar mein bikhra hua ja-ba-ja tujhe
tha mujh ko tera phenka hua phul hi bahut
lafzon ka ehtimam bhi karna paDa tujhe
ye aur baat main ne sadaen hazar din
aai na dasht-e-haul se ek bhi sada tujhe
tu ne bhi KHud ko markaz-e-alam samajh liya
lag hi gai zamane ki aaKHir hawa tujhe
kya qahr hai ki rangon ke is izhdiham mein
juz rang-e-zard aur na kuchh bhi mila tujhe
nazron ne tar tar kiya aasman tamam
aai na ras taron bhari ye rida tujhe
daim rahe safar mein tera naqa-e-KHayal
deta rahun main roz yahi bad-dua tujhe
kahne ko chand gam tha ye arsa-e-hayat
lekin tamam umr hi chalna paDa tujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.