KHud se kuchh yun ubhar rahe hain hum
ḳhud se kuchh yuuñ ubhar rahe haiñ ham
ik bhañvar meñ utar rahe haiñ ham
zindagī kaun jī rahā hai yahāñ
maut meñ jaan bhar rahe haiñ ham
maut ke baad zindagī hogī
ye samajh kar hī mar rahe haiñ ham
ab sañvarne kā lutf jaatā rahā
aa.ine meñ bikhar rahe haiñ ham
ishq pahle bhī to huā hai hameñ
kyā nayā hai jo Dar rahe haiñ ham
vaqt apnī jagah pe qaa.em hai
bas musalsal guzar rahe haiñ ham
KHud se kuchh yun ubhar rahe hain hum
ek bhanwar mein utar rahe hain hum
zindagi kaun ji raha hai yahan
maut mein jaan bhar rahe hain hum
maut ke baad zindagi hogi
ye samajh kar hi mar rahe hain hum
ab sanwarne ka lutf jata raha
aaine mein bikhar rahe hain hum
ishq pahle bhi to hua hai hamein
kya naya hai jo Dar rahe hain hum
waqt apni jagah pe qaem hai
bas musalsal guzar rahe hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.