KHud se rishte rahe kahan un ke
ḳhud se rishte rahe kahāñ un ke
ġham to jaane the rā.egāñ un ke
mast un ko gumāñ meñ rahne de
ḳhāna-barbād haiñ gumāñ un ke
yaar sukh niiñd ho nasīb un ko
dukh ye hai dukh haiñ be-amāñ un ke
kitnī sarsabz thī zamīñ un kī
kitne niile the āsmāñ un ke
nauha-ḳhvānī hai kyā zarūr unheñ
un ke naġhme haiñ nauha-ḳhvāñ un ke
KHud se rishte rahe kahan un ke
gham to jaane the raegan un ke
mast un ko guman mein rahne de
KHana-barbaad hain guman un ke
yar sukh nind ho nasib un ko
dukh ye hai dukh hain be-aman un ke
kitni sarsabz thi zamin un ki
kitne nile the aasman un ke
nauha-KHwani hai kya zarur unhen
un ke naghme hain nauha-KHwan un ke
- Book : Gumaan (Poetry) (Pg. 31)
- Author : Jaun Elia
- Publication : Takhleeqar Publishers (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.