KHud se to aae na the ahl-e-zamin sunta hai
ḳhud se to aa.e na the ahl-e-zamīñ suntā hai
kyuuñ unheñ bhej ke ab un kī nahīñ suntā hai
ye agar sach hai to phir aaj ise sābit kar
ki sunā hai tū sar-e-arsh-e-barīñ suntā hai
vo jo suntā nahīñ terī to gilā kaisā hai
tū bhī kab us kī mire ḳhāk-nashīñ suntā hai
bigḌe bachche kī tarah shor machā.e jaa.e
ye mirā dil ki kisī kī bhī nahīñ suntā hai
husn ke husn taġhāful se pareshān na ho
ġhaur se baat kahāñ koī hasīñ suntā hai
bhuuk iflās daġhā jurm kī bahutāt 'vasī'
phir bhī lagtā hai tujhe koī kahīñ suntā hai
KHud se to aae na the ahl-e-zamin sunta hai
kyun unhen bhej ke ab un ki nahin sunta hai
ye agar sach hai to phir aaj ise sabit kar
ki suna hai tu sar-e-arsh-e-barin sunta hai
wo jo sunta nahin teri to gila kaisa hai
tu bhi kab us ki mere KHak-nashin sunta hai
bigDe bachche ki tarah shor machae jae
ye mera dil ki kisi ki bhi nahin sunta hai
husn ke husn taghaful se pareshan na ho
ghaur se baat kahan koi hasin sunta hai
bhuk iflas dagha jurm ki bahutat 'wasi'
phir bhi lagta hai tujhe koi kahin sunta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.